Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 

Hazrat Syed Ejaz Hussain Shah

Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Syed Ejaaz Hussain Shah Rahmatullah Alayh Hazrat Syed Maroof  Madni Rahmatullah Alayh ke khalifa thay aur Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh ke peer o murshid thay. Aap aik buland paya Adeeb bhi thay. Asp Rahmatullah Alayh  ne apne murshid Hazrat Syed Maroof  Madni Shah Rahmatullah Alayh ki sawanah Umri likhi aur masnavi  haqayiq al asrar aur deegar kitaaben tasneef kee .

Aik dafaa Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh apne gaon 333 main  Hazrat Syed Ejaaz Hussain ko apne ghar madho kya aur apni samajh ke mutabiq khanay ka intizam kya. Jab gaon ke logon ko Hazrat Ejaaz Hussain ki aamad ka ilm howa to logon ka aik jim e ghafeer asp Rahmatullah Alayh  ke ghar jama ho gaya. Khanay ka waqat howa chahta tha aur itnay ziyada mahaman dekh ke Hazrat Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh ke chehray par pareshani ke assaar numaya thay. Aur asp Rahmatullah Alayh mazeed khanay ka intizam karne ka sochnay lagey kay itnay mein Hazrat Syed Ejaz Hussain Rahmatullah  Alayh ki aawaz kaanon mein pari Molana sahib idhar tashreef layiyae kuch karne ki zaroorat nahi hai. Phir irshad howa kay ghar se koi saaf kapra le kar khanay ke uopar daal den aur khana taqseem karna shuru kar den kuch karne ki zaroorat nahi hai. Phir ravi kehta hai kay hasb e  hukum khanay ki taqseem shuru kar di gayi. Sab logon ne pait bhar kar khana khaya lekin khana phir bhi bach gaya jis ko baad mein gaon mein taqseem kya gaya. Is terhan ki aap ki be shamaar karamatain mashhoor hain .

Note :. Bawajood jad o jehad ke Hazrat Syed Ejaaz Hussain Shah Rahmatullah Alayh  ki tareekh  e paidaiesh aur duniya se rukhsati ki tareekh maloom nahi ho saki. Agar kisi sahib ke paas is baray mein kuch maloomat hoon ya mazaar shareef  ki tasaveer mojood hon to fori tour par  mujah se rabita qaim kar ke is kaar e kher mein hissa daar  banay

ISRAR UL HAQ

shaimaisrar@gmail.com

+ 923218457693